aise chup rah ke fā.eda kyā hai
kuchh to kahiye ki mājrā kyā hai
un se shikva hai kyā gilā kyā hai
jo nahīñ jānte vafā kyā hai
jab na armāñ na aarzū koī
dil bachā bhī to phir bachā kyā hai
ab to āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
ab kisī se Dhakā-chhupā kyā hai
kis kī manzil hai is ḳharābe meñ
dil-e-nādāñ tū DhūñDhtā kyā hai
aa.ina dekh lo batā degā
sach hai kitnā muġhālta kyā hai
ek chehra hai aañkh meñ har-dam
dil se pūchheñ mo.āmla kyā hai
ye bhī 'ġhālib' kā faiz hai 'kāvish'
maiñ ne jo kuchh kahā kahā kyā hai