pyāsā rahā maiñ bālā-qadī ke fareb meñ
dariyā bahut qarīb thā mujh se nasheb meñ
mauqa milā thā phir bhī na maiñ aazmā sakā
us kī pasand ke ka.ī sikke the jeb meñ
pardes jaane vaalā palaT bhī to saktā hai
itnā kahāñ shakeb thā is nā-shakeb meñ
suntā to hai badan kī ibādat pe āyateñ
aatā nahīñ hai phir bhī kisī ke fareb meñ
khiltā hai us ke jism pe qātil kā bhī libās
kyā aib DhūñDhtā koī us jāma-zeb meñ
bhūkā parinda shāḳh pe baiThā aur uḌ gayā
shāyad koī miThās na thī kachche seb meñ