zarūrat be-zarūrat boltī hai
jahāñ daulat ho daulat boltī hai
mohabbat kār-farmā hai hamārī
tire chehre kī rañgat boltī hai
parakhne kā zarā sā tajraba ho
har ik shai apnī qīmat boltī hai
zabāñ aur aañkh donoñ band rakhnā
qabīle se qayādat boltī hai
ye hotā hai jo himmat haar baiTho
ki baḌh-chaḌh kar musībat boltī hai
chamaknā hai to mere saath aa jā
muqaddar se ye mehnat boltī hai
tumhārā kab hai jo kuchh hai tumhārā
buzurgoñ kī vasiyyat boltī hai
tumhāre paas sab hai maiñ nahīñ huuñ
sisaktī ādamiyat boltī hai