kyuuñ yaad ye sab qaht ke asbāb na aa.e
jab ham ne duā kī thī ki sailāb na aa.e
ham ko to utarnā hai samundar kī tahoñ meñ
haath aa.e ki ab gauhar-e-nāyāb na aa.e
tadbīr ke mehvar pe rahā meñ yūñhī raqsāñ
ta.abīr ke markaz pe mire ḳhvāb na aa.e
bāhar jo uThe shor to khiḌkī se na jhāñko
āñkhoñ pe tumhārī kahīñ tezāb na aa.e
elaan kiyā uḌtī huī ḳhaak ne har samt
manzar pe koī ḳhitta-e-shādāb na aa.e
maiñ ne jo kahā tuḳhm-e-vafā haiñ mire aañsū
kahne lage miTTī meñ unheñ daab na aa.e
nikle haiñ sar-e-shām liye mash.al-e-fan ham
nazdīk koī kāġhzī mahtāb na aa.e