marhabā tum bhī zarūrat se mile
kaun hai ab jo mohabbat se mile
zindagī ne jo diye ham ko sabaq
vo kahāñ pand-o-nasīhat se mile
dil milāne se bhalā kyā hāsil
jab tabī.at na tabī.at se mile
haa.e vo shahr-e-amāñ jis meñ ham
roz ik taaza qayāmat se mile
ye jo palkoñ pe saje haiñ motī
sab hameñ us dar-e-daulat se mile
kaun hogā vo ba-juz ā.īna
shakl jis kī tirī sūrat se mile
aaj pheñkī ga.ī ham par kuchh ḳhaak
aaj ham apnī haqīqat se mile
ham ne samjhā hai unheñ pyaar ke phuul
zaḳhm jo sañg-e-malāmat se mile
the vo ujlat meñ ga.e ye kah kar
jis ko fursat ho vo fursat se mile