ġhazal kā merī ḳhāka dekhtā hai
jo us gul kā sarāpā dekhtā hai
palaT kar jab masīhā dekhtā hai
mire zaḳhmoñ ko hañstā dekhtā hai
tilismī haiñ na.e insāñ kī āñkheñ
ki ghar meñ rah ke duniyā dekhtā hai
vahī kirdār zinda hai jo apnī
kahānī ko adhūrā dekhtā hai
ye sun kar merī nīndeñ uḌ ga.ī haiñ
koī merā bhī sapnā dekhtā hai
jo uḌte haiñ uḌeñ 'ġhālib' ke purze
tamāshā.ī tamāshā dekhtā hai
samundar buuñd lagtā hai kisī ko
koī zarre meñ sahrā dekhtā hai
na jaane kis meñ hai kitnī basīrat
na jaane kaun kitnā dekhtā hai