Mahtab Alam

phulon mein jhalak husn-e-ruKH-e-yar ki nikli

Mahtab Alam

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1972
phūloñ meñ jhalak husn-e-ruḳh-e-yār kī niklī
ham ḳhush haiñ koī shakl to dīdār kī niklī
alfāz se ḳhushbū tire kirdār kī niklī
jab baat masīhā tire guftār kī niklī
nīlām hue chāñd har ik shahr meñ lekin
raunaq na kahīñ misr ke bāzār kī niklī
hoñToñ kī hañsī bin ga.e jo zaḳhm the dil meñ
sūrat koī jab aur na iz.hār kī niklī
dekhā to ye samjhe kisī darvesh kā ghar hai
pūchhā to vo kuTiyā bhī zamīñdār kī niklī
phir phuul barasne lage lafzoñ ke dahan se
phir baat kisī ke lab-o-ruḳhsār kī niklī
zanjīr kī tañgī thī asīrān-e-vafā the
āvāz bhī zindāñ se na jhankār kī niklī
Top Urdushayar.com