dekhā jo saaya shab meñ ye samjhā nigāh ne
shāyad vo aaj aa ga.e va.ada nibāhane
vīrāñ sī is navāh meñ aatā hī kaun thā
ābād kar diyā hai ise qatl-gāh ne
un qātiloñ pe kaun muqadma chalā.egā
jin ko liyā panāh meñ ālam-panāh ne
har baat pe jo mujh se ye kahte haiñ chup raho
kyā apne husn ko bhī na deñge sarāhne
qaa.em unhīñ faqīroñ ke dam se thī saltanat
jin ko kiyā hai mulk-badar sarbarāh ne
achchhā huā sahar ne ulaT dī naqāb-e-fikr
bhaTkā diyā thā raat mujhe vaah vaah ne
kāġhaz agar siyāh kareñ to kareñ harīf
sūraj ugaa.e haiñ mirī fikr-o-nigāh ne