Mahtab Alam

shafaq bhi KHun ki bauchhaar si hai

Mahtab Alam

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1972
shafaq bhī ḳhuun kī bauchhār sī hai
ye surḳhī shahr ke aḳhbār sī hai
kaTīle haiñ tire lafz-o-bayāñ sab
qalam ḳhanjar zabāñ talvār sī hai
kisī bhī chiiz meñ lagtā nahīñ dil
tabī.at bin tire bezār sī hai
tum apne ruup se ḳhud aa.ina ho
tumhāre rū-ba-rū kyuuñ aarsī hai
ye saarī qurbateñ rasmī haiñ yaanī
diloñ ke darmiyāñ dīvār sī hai
jo ham ḳhud ko muhājir maan bhī leñ
to kis kī haisiyat ansār sī hai
yahāñ logoñ ne likh rakkhā hai kyā kuchh
fasīl-e-shahr bhī aḳhbār sī hai
nazar aayā hai phir 'mahtāb' koī
tabī.at phir junūñ-āsār sī hai
Top Urdushayar.com