dāġh-e-sīna markaz-e-tanvīr hai
dil kā chhālā chāñd kī tasvīr hai
zindagī kiyā hai koī samjhā.e to
ḳhvāb hai yā ḳhvāb kī ta.abīr hai
chain se zindāñ meñ baiThe ab junūñ
paañv meñ chakkar nahīñ zanjīr hai
phūñk deñgī nafrateñ ghar aap kā
naam darvāze pe kyuuñ tahrīr hai
ghar kā ik naqsha banā letī hai roz
ye jo dil meñ hasrat-e-tāmīr hai
ham amaañ paate the jis ke saa.e meñ
vo shajar ab dhuup kī tasvīr hai
kis ke va.ade par kareñ ham e'tibār
kis ke māthe pe vafā tahrīr hai