naved-e-yaum-e-bahārāñ ḳhizāñ se zāhir ho
misāl-e-saut-e-pareshāñ fuġhāñ se zāhir ho
tujhe gumāñ hai agar ḳhud pe lafz-e-raushan kā
ridā-e-shabnam-e-ijz-e-bayāñ se zāhir ho
chamak uThe mirī āñkhoñ meñ ashk kī sūrat
jo aag dil meñ hai raushan zabāñ se zāhir ho
kisī bhī samt se ubhre sitāra-e-āvāz
nahīñ ye qaid ki vo āsmāñ se zāhir ho
vo kā.enāt kā ḳhāliq sahī magar 'āsif'
yaqīñ hai ḳhud pe use to gumāñ se zāhir ho