Ejaz Asif

phulon se hogi dhul juda dekhte raho

Ejaz Asif

phūloñ se hogī dhuul judā dekhte raho
manzar nikhār degī havā dekhte raho
lā.egī rañg laġhzish-e-pā dekhte raho
manzil bhī degī apnā patā dekhte raho
haañ bazm meñ kisī ke garebān-e-gosh tak
pahuñchegā merā dast-e-sadā dekhte raho
nīndoñ meñ kho ke sīpiyāñ ḳhvāboñ kī dosto
chunñe ko hai ye dīda-e-vā dekhte raho
kab āftāb-e-tāza kī pahlī shuā se
hotī hai chaak shab kī ridā dekhte raho
us kaj-adā kī samt ba-īñ jaur-e-mustaqil
'āsif' ba-tarz-e-ahl-e-vafā dekhte raho
Top Urdushayar.com