huuñ maiñ bhī sho.abada koī duniyā ke sāmne
hairān ho rahī hai mujhe pā ke sāmne
zarre ne aaj apnī haqīqat ko pā liyā
zarra na sar-nigūñ huā sahrā ke sāmne
uksā rahī hai koī ḳhalish der se mujhe
rakh dil sā phuul ḳhār-e-tamannā ke sāmne
ḳhalvat meñ kar rahā thā gunāhoñ kā e'tirāf
hoñToñ ko vā na kar sakā duniyā ke sāmne
'āsif' tamām marhale āsān ho ga.e
Thahrī na ik chaTān bhī dariyā ke sāmne