Asghar Mehdi Hosh

hamesha tang raha mujh pe zindagi ka libas

Asghar Mehdi Hosh

Jaunpur, Uttar pradesh, India

hamesha tañg rahā mujh pe zindagī kā libās
kabhī khilā na mire jism par ḳhushī kā libās
hasīn phūloñ kī sohbat meñ aur kyā hotā
ulajh ke rah gayā kāñToñ meñ zindagī kā libās
jo jal gayā hai vahī jāntā hai apnī jalan
kisī ke jism pe aTtā nahīñ kisī kā libās
ye kyā sitam kiyā tum ne to chaak kar Daalā
zarā zarā sā masaknā thā dostī kā libās
sambhal sambhal ke chalo ehtiyāt se pahno
baḌe nasīb se miltā hai aadmī kā libās
libās-e-dār se mujh ko Darāne vaalo suno
pahan ke aaj maiñ aayā huuñ ḳhud-kushī kā libās
vo ik faqīr thā jis ne utaar pheñkā thā
safed-poshoñ ke muñh par tavañgarī kā libās
Top Urdushayar.com