har ek shai kī haqīqat se bā-ḳhabar dekhūñ
maiñ apnī ḳhaak meñ pinhāñ tujhe bhī gar dekhūñ
ye kyā ki haat baḌhā.ūñ to sañg-reze mileñ
kahīñ to maiñ bhī damakte hue guhar dekhūñ
ho aañkh meñ kisī chehre kā Dūbtā manzar
maiñ pāniyoñ meñ muqayyad kisī kā ghar dekhūñ
tamām umr usī saa.e kī talāsh karūñ
ki jis ko dekhnā chāhūñ to dar-ba-dar dekhūñ
nazar ke sāmne jab ho na koī tere sivā
maiñ terī samt na dekhūñ to phir kidhar dekhūñ
hai aarzū yahī 'āsif' ki rāh-e-zulmat meñ
use bhī apnī tarah maiñ kabhī niDar dekhūñ