raat ke parde meñ ik nuur kā sailāb bhī hai
dasht-e-zulmat meñ kahīñ vādī-e-mahtāb bhī hai
bahr-e-pursish hī sahī aaj tirā aa jaanā
ek hī vaqt meñ ta.abīr bhī hai ḳhvāb bhī hai
asliyat dekh mire chāk-e-garebāñ pe na jā
ishq chāhe to bahut sāhab-e-asbāb bhī hai
tū ne sochā hai kabhī jalva-e-arzāñ ke asiir
jis ko mahtāb samajhtā hai vo mahtāb bhī hai
vaqt kī tez ravānī se hai dahshat varna
yahī dariyā jo Thahar jaa.e to pāyāb bhī hai