mujhī meñ Duub gayā dushmanī nibhāte hue
ḳhudā bhī haar gayā mujh ko āzmāte hue
bhaTak na jaa.e vo din-rāt ke añdhere meñ
maiñ bujh rahā huuñ jise rāsta dikhāte hue
guzar rahe haiñ shikastoñ ke bhes meñ ham bhī
na.e safar ke liye manzileñ banāte hue
ulajh rahā hai vo mujh se haqīqatoñ kī tarah
maiñ jhuuT bol rahā huuñ use manāte hue
ye raqs kartī huī raushnī ke saa.e haiñ
ki haath kaañp rahe haiñ diyā jalāte hue