sukūñ agar hai to bas lutf intizār meñ hai
ki bebasī to ba-har-hāl iḳhtiyār meñ hai
ye ḳhauf bhī hai ki ashkoñ meñ Dhal na jaa.e kahīñ
vo ek aah jo naġhme kī intizār meñ hai
thakā diyā hai ḳhud apnī talāsh ne mujh ko
ki merā asl mire jhuuT ke hisār meñ hai
vo dushmanoñ kā ho lashkar ki dostoñ kā hujūm
ye raaz hai jo abhī parda-e-ġhubār meñ hai
sadā-e-rañg kī naġhmagarī se khul na sakā
vo ek qufl jo ab tak lab-e-bahār meñ hai