haqīqatoñ se magar munharif rahā na gayā
so shahr-e-ḳhvāb se apnā bhī āb-o-dāna gayā
harīf-e-zāt ajab the ki umr bhar ḳhud ko
burā samajhte rahe par burā kahā na gayā
jo muntashir huuñ to hairat na kar ki dariyā meñ
bhañvar ke ba.ad kisī lahr meñ bahā na gayā
ajiib lams thā ab ke junūñ ke hāthoñ meñ
qabā-e-rañg meñ ḳhushbū se phir rahā na gayā
havā mizāj tire dar-ba-dar rahe tā umr
kisī bhī dasht kisī shahr meñ basā na gayā
zamīñ se uḌ ke zamīñ tak pahuñch ga.ī āḳhir
sarisht-e-ḳhāk se aflāk meñ rahā na gayā