kis ḳhvāb kā asar hai jo ab tak nazar meñ hai
manzil kī ek shabīh ġhubār-e-safar meñ hai
samjho ki ek partav-e-manzar nahīñ tamām
hai tīrgī vo raaz jo tāb-e-gohr meñ hai
dariyā kī vus.atoñ se jo ḳhā.if rahe vo log
samjhe nahīñ ki ek kināra bhañvar meñ hai
ham manzil-e-yaqīñ pe na Thahre ye jaan kar
ḳhalq-e-ḳhudā ke saath ḳhudā bhī safar meñ hai
raqsāñ mirī talab meñ hai raqqās-e-kā.enāt
merī talāsh hai jo dil-e-rah-guzar meñ hai
hairat vufūr-e-shauq meñ takmīl kī taraf
ik aks ā.inoñ se gurezāñ safar meñ hai