duur hī se nihār leñge ham
tum ko sharminda kyā kareñge ham
sūfiyoñ kī tarah jiyeñge ham
dard meñ raqs bhī kareñge ham
muskurā kar karo hameñ ruḳhsat
tum bhī ro.e to kyā kareñge ham
de ke jaate ho zindagī kī duā
kyā tumhāre binā jiyeñge ham
apne ghar meñ bhale laḌeñ jhagḌeñ
ek hī chhat tale raheñge ham
pahle māñ-bāp kī kareñ ḳhidmat
bāl-bachche bhī paal leñge ham
iid kā roz hai chalo 'bādal'
aaj un se gale mileñge ham