un ke adnā ġhulām ho kar bhī
ham rahe ḳhaas aam ho kar bhī
bevafā.ī na kī samundar se
mauj ne be-lagām ho kar bhī
dil kī duniyā na kar sake raushan
aap māh-e-tamām ho kar bhī
kaise rāvan kā kaam kar baiThe
naam ke aap raam ho kar bhī
ham nahīñ tere pyaar ke laa.eq
qābil-e-ehtirām ho kar bhī
pyaar karne kī bhuul kar baiThā
shaḳhs vo nek naam ho kar bhī
pyāsī pyāsī hī rah ga.ī 'bādal'
zindagī nazr-e-jām ho kar bhī