zulm bhī Dhā.eñge tumhāre ḳhayāl
raas bhī ā.eñge tumhāre ḳhayāl
gungunā.egī merī tanhā.ī
saaz ban jā.eñge tumhāre ḳhayāl
mere hamrāh tum bhī ho jaise
duur tak jā.eñge tumhāre ḳhayāl
mere dil kī kitāb mat paḌhnā
Dagmagā jā.eñge tumhāre ḳhayāl
jab bhī kuchh kaam karne baiThūñgā
mujh ko bhaTkāeñge tumhāre ḳhayāl
jab unheñ ham rakheñge tāza-dam
kaise dhuñdlā.eñge tumhāre ḳhayāl
jaise chaḌh jaatā hai nasha 'bādal'
zehn par chhā.eñge tumhāre ḳhayāl