Haseer Noori

waqt ka suraj jalan ke rup mein jab aa gaya

Haseer Noori

vaqt kā sūraj jalan ke ruup meñ jab aa gayā
sañg-tan par dhuup ke sailāb ko rokā gayā
past himmat ke zarīye ho gayā radd-e-amal
ham ko be-maqsad dilāsā de ke bahlāyā gayā
be-zabāñ zaḳhmoñ ko fart-e-ḳhvāhishāt-e-zīst ko
jo na samjhā ġhair-zimm-e-dār vo samjhā gayā
dard kī lahroñ ne rakkhā muztarib anfās ko
naam ke tūfāñ se jism-e-ārzū Dhāñpā gayā
āḳhirī bātoñ kī rūposhī ke vo qaa.il na the
kahne vāloñ ko magar kahne se bhī rokā gayā
ham bachāte hī rahe us ko mohabbat se 'hasīr'
apnī harakat se magar vo ḳhud yahāñ pakḌā gayā
Top Urdushayar.com