log kahte haiñ ki sūraj meñ añdherā kyuuñ hai
dhuup niklī hai ġhalat baat kā charchā kyuuñ hai
zindagī se nahīñ jab tum ko koī dilchaspī
chand lamhoñ kī masarrat kā taqāzā kyuuñ hai
paḌhne vāloñ ke diloñ par ho sadāqat kā asar
aisī tahrīr vo likhtā hai to likhtā kyuuñ hai
apne markaz pe jise lauT kar aanā hī paḌā
dekh kar aa.ina ab chehra chhuptā kyuuñ hai
Dar rahā huuñ ki musībat na kahīñ aa jaa.e
zehn meñ tezī se ehsās ye ubhrā kyuuñ hai
mujh se nafrat hai to iz.hār kabhī bhī na kiyā
vo farishta hai to kuchh kahne se Dartā kyuuñ hai
yaad hogī tumheñ pahle kī har ik baat 'hasīr'
phir mohabbat se use tum ne navāzā kyuuñ hai