jo bhī yahāñ huā vo bahut hī burā huā
har aadmī kā zehn hai ab tak jalā huā
miTTī ko sūñghne se koī fā.eda nahīñ
maiñ jā rahā huuñ naqsh-e-vafā chhoḌtā huā
rauzan banā rahe haiñ ḳhalā meñ kiran ke tiir
sūraj isī liye hai zamīñ par jhukā huā
ham sah rahe haiñ apne azīzoñ ke dard-o-ġham
aayā jo dast-o-pā liye be-dast-o-pā huā
ik shaḳhs mere saath safar meñ rahā magar
manzil qarīb aa.ī to mujh se judā huā
mujh ko kisī kī baat kī parvā nahīñ abhī
maiñ jī rahā huuñ shahr meñ tanhā to kyā huā
afsos kī nahīñ ye ta.ajjub kī baat hai
kaise guzar gayā vo mujhe dekhtā huā
tum ne mire liye to bahut kuchh kiyā magar
kyā tum ko ai 'hasīr' koī fā.eda huā