Razia Halim Jang

kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre

Razia Halim Jang

Hyderabad, Telangana, India

1922
kitne nāyāb the lamhe jo vahāñ par guzre
jab uThe haath duāoñ ko to gauhar barse
tak rahe the tire ghar ko vo samāñ bhī kyā thā
tū guzartā hai havā aa.ī to ham ye samjhe
kitnī hī baar kiyā ham ne to zamzam se vazū
kitnī hī baar tirī yaad meñ aañsū chhalke
surma-e-ḳhāk-e-madīna jo lagā āñkhoñ meñ
misl ā.īne ke āñkhoñ ke nagīne chamke
Top Urdushayar.com