Razia Halim Jang

tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai

Razia Halim Jang

Hyderabad, Telangana, India

1922
tumhīñ batāo vo kaun hai jo har ek lamha satā rahā hai
na niiñd rātoñ ko aa rahī hai na chain din ko hī aa rahā hai
ye ashk dāman bhigo rahe haiñ ye āñkheñ suujī huī haiñ merī
maiñ ek jalve kī us ke tālib magar vo parde girā rahā hai
tavāf-e-ka.aba ko dekh to le taḌap rahā hai vajūd merā
na paañv ab mere uTh rahe haiñ na sāmne ghar vo aa rahā hai
maiñ ek majbūr nā-tavāñ sī za.iif bandī huuñ us se tālib
tamāshā chup-chāp dekhtā hai kahāñ taras mujh pe khā rahā hai
tujhe usī kī qasam hai maulā hai tujh ko mahbūb do jahāñ meñ
vo apne jalve dikhā de mujh ko jo tū nazar se chhupā rahā hai
har ek tadbīr be-asar hai na jī rahī huuñ na mar rahī huuñ
junūn-e-ishq-e-ḳhudā hī logo ye haal merā banā rahā hai
Top Urdushayar.com