Razia Halim Jang

dil ki haalat bigaD rahi hai kyun

Razia Halim Jang

Hyderabad, Telangana, India

1922
dil kī hālat bigaḌ rahī hai kyuuñ
har nafas mujh ko be-kalī hai kyuuñ
dil lagātā hai bas sadā terī
be-qarārī ye baḌh rahī hai kyuuñ
us ke kūche meñ umr guzrī phir
kūcha-e-yār ajnabī hai kyuuñ
jism zanjīr ho bhī saktā hai
ruuh āzād hai rukī hai kyuuñ
ab ye samjhī huuñ jab banī jaañ par
markaz-e-jāñ tirī galī hai kyuuñ
Top Urdushayar.com