Razia Halim Jang

main mubtala-e-ishq hun mujhko pata na tha

Razia Halim Jang

Hyderabad, Telangana, India

1922
maiñ mubtalā-e-ishq huuñ mujh ko patā na thā
jab tak kisī ne haal ye merā kiyā na thā
paayā hai jab se tujh ko hai takmīl kā surūr
maiñ thī adhūrī tū mujhe jab tak milā na thā
allāh tere ishq meñ huuñ haal se behāl
tab tak baḌe maze meñ thī jab dil lagā na thā
Top Urdushayar.com