Razia Halim Jang

bayaban ho ki sahra ho mujhe tera sahaara ho

Razia Halim Jang

Hyderabad, Telangana, India

1922
bayābāñ ho ki sahrā ho mujhe terā sahārā ho
tū hī ḳhurshīd ho merā tū hī merā sitārā ho
bulandī ho ki pastī ho kahīñ baiThūñ kahīñ jā.ūñ
vahīñ par merā ka.aba ho vahīñ terā nazārā ho
na ye duniyā na vo uqbā mirī to ik tamannā hai
rahūñ qadmoñ tale tere tū hī merā kināra ho
raho pardoñ meñ tum maḳhfī magar jab dil meñ jhāñkūñ maiñ
tumhārā hī nazārā ho tumhārā hī nazārā ho
mirī āñkhoñ meñ bas jaao zarā mujh par taras khaao
zamīnoñ āsmānoñ meñ tumhīñ ik māh-pāra ho
Top Urdushayar.com