zindagī kā nishān haiñ ham log
ai zamīn āsmān haiñ ham log
roz jiite haiñ roz marte haiñ
kis qadar saḳht-jān haiñ ham log
zindagī muskurā to de ik baar
ek shab mehmān haiñ ham log
sūrateñ dhuul ho chukī haiñ magar
husn ke pāsbān haiñ ham log
ḳhud se milte haiñ dushmanoñ kī tarah
ġhair par mehrbān haiñ ham log
ik yahī dard to milā hai hameñ
sher-o-naġhma kī jaan haiñ ham log
shāḳh-e-gul meñ jo ham lachak jaa.eñ
khiñch ga.e to kamān haiñ ham log
ham se miltā hai manziloñ kā pata
aur ḳhud be-nishān haiñ ham log
ab bhī lipTe haiñ terī Thokar se
zindagī terī aan haiñ ham log