kis qadar pyaas milī aap ke maiḳhāne se
umr bhar āñkhoñ meñ chhalkā kiye paimāne se
kaisā jaadū thā un āñkhoñ meñ jinheñ dekh ke ham
muddatoñ apnoñ meñ phirte rahe begāne se
merī taḳh.īl ne duniyā ko diye pairāhan
kyā haqīqat hai ye pūchho mare afsāne se
TuuT jaane pe bhī rishtoñ kā bharam baaqī hai
in kā ghar duur nahīñ hai mire vīrāne se
kyā mileñ auroñ se ḳhud se bhī nahīñ mil paate
aise tanhā hue ham aap ke aa jaane se