lambī thī umr mohabbat kī barbād hue hote hote
kuchh raat kaTī piite piite kuchh raat kaTī rote rote
in pyaas bharī āñkhoñ ke sivā us jag meñ apnā thā hī kyā
sab ko dekhā chalte chalte sab ko khoyā khote khote
jab yaad koī aa jaatī hai yuuñ dil kī kalī khil jaatī hai
jaise ḳhvāboñ kī duniyā meñ bachcha hañs de sote sote
kyā jāniye dil pe kyā biitī kyā jāniye aañkh ne kyā dekhā
kyuuñ chauñk ke uTh uTh paḌte haiñ ham rātoñ ko sote sote
fasleñ bītīñ mausam badlā aur vaqt ne yuuñ kyā kuchh na kiyā
vo daaġh na dil se duur huā ik umr kaTī dhote dhote