ye ujālā har ik shai ko chamkā gayā
aa.ina dil kā kuchh aur dhundlā gayā
aaj maġhmūm hai vo sar-e-ā.īna
zulf uljhī to merā ḳhayāl aa gayā
apnī barbādiyoñ kā mujhe ġham nahīñ
ġham ye hai kis tarah tujh se dekhā gayā
itnī fursat kahāñ thī ki ham sochte
ishq meñ kyā huaa, kyā milā, kyā gayā
luT gayā johd-e-hastī meñ ehsās bhī
zindagī ke liye haa.e kyā kyā gayā
jis ke hoñToñ ke dāman meñ kuchh bhī na thā
jab uThā bazm se giit barsā gayā