zabāñ pe ḳhud-baḳhud arz-e-mohabbat aa.ī jaatī hai
khule paḌte haiñ armāñ zindagī sharmā.ī jaatī hai
bulāve aa rahe haiñ manziloñ ke shaam se lekin
tamannāoñ ko in kī god meñ niiñd aa.ī jaatī hai
vo aa.e haiñ tasallī ke liye lekin ye aalam hai
nigāheñ nam haiñ lau āvāz kī tharrā.ī jaatī hai
dimāġh-o-dil kī saarī kashmakash bekār-o-lā-hāsil
nashe kī tarah us kī yaad sab par chhā.ī jaatī hai
nahīñ kuchh tere baa.is ye udāsī bad-gumāñ mat ho
jahāñ jaatā huuñ mere saath ye tanhā.ī jaatī hai