saaz bane un ashkoñ se jo bahte haiñ tanhā.ī meñ
sadiyoñ kī mahrūmī ro ro gaatī hai shahnā.ī meñ
jitne halke log the vo sab tair ga.e us paar hue
ek hameñ the Duub ga.e jo apnī hī gahrā.ī meñ
apnā badan sotā rahtā hai bistar par lekin aksar
raat ga.e Tahlā kartā hai kaun marī añgnā.ī meñ
dil hai kis kā jaañ hai kisī kī aur kis kī hai ye nazar
kitnā bikhrā-pan pinhāñ hai ek marī yakjā.ī meñ
zulm kī shiddat ḳhud apnī hī maut kā baa.is bantī hai
jiit kī sūrat dekh rahe haiñ ham apnī paspā.ī meñ