ġhamoñ ne is tarah gherā kabhī nahīñ hogā
ye lag rahā thā saverā kabhī nahīñ hogā
unheñ kā zikr hai din raat un kī bāteñ haiñ
tumhārā dil hai ye merā kabhī nahīñ hogā
tamām daulat-e-kaun-o-makāñ mile to kyā
to jis kā ho gayā, terā kabhī nahīñ hogā
hamārī san lo hameñ dekh lo ki phir shāyad
idhar faqīr kā pherā kabhī nahīñ hogā
diyā hai apnā lahū is qadar charāġhoñ ko
hamāre ba.ad añdherā kabhī nahīñ hogā