Mushtaq Naqvi

gulshan bhi sajae hain isne ye jhalka hai shamshir mein bhi

Mushtaq Naqvi

gulshan bhī sajā.e haiñ is ne ye jhalkā hai shamshīr meñ bhī
insāñ ke lahū kā khel huā taḳhrīb meñ bhī ta.amīr meñ bhī
jo farq hai vo hai hāthoñ kā jo shauq-e-amal meñ baḌhte haiñ
yuuñ ek hī naġhma ek taḌap hai saaz meñ bhī shamshīr meñ bhī
chun chun ke ḳhirad ne nochā hai phūloñ kī qabāoñ ko lekin
kuchh dāman sālim rah hī ga.e is sorish-dār-o-gīr meñ bhī
ye sabr kī talqīñ aur TuuTe TuuTe jumle bahkī satreñ
jo tum ne chhupānā chāhā thā vo chhup na sakā tahrīr meñ bhī
sab apnī tarah se karte haiñ jiine ke jatan par kyā kiije
tadbīr nahīñ chaltī aksar is kār-gah-e-tadbīr meñ bhī
ye sādgī jo rañgīn bhī hai ye ḳhāmushī jo taqrīr bhī hai
vo ek tarah se lagte haiñ tahrīr meñ bhī tasvīr meñ bhī
Top Urdushayar.com