simTe to aise shams-o-qamar meñ simaT ga.e
bikhre to aise ḳhaak ke zarroñ meñ baT ga.e
manzil kahāñ safar hī safar ho ga.ī hayāt
itnā chale ki paañv se raste lipaT ga.e
ye vaqt kā karam hai ki rukte nahīñ haiñ din
kaTnā na chāhiye thā jinheñ vo bhī kaT ga.e
ab dekhnā hai kaun sañvāregā tere phuul
ik ham hī terī raah kā kāñTā the hiT ga.e
qad-āvarī pe ham ko bahut naaz thā magar
jab zindagī kī aag se guzre to ghaT ga.e