Aasi Karnali

rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta

Aasi Karnali

Karnal, Haryana, India

1927-2011
rumūz-e-maslahat ko zehn par taarī nahīñ kartā
zamīr-e-ādmiyyat se maiñ ġhaddārī nahīñ kartā
qalam shāḳh-e-sadāqat hai zabāñ barg-e-amānat hai
jo dil meñ hai vo kahtā huuñ adākārī nahīñ kartā
maiñ āḳhir aadmī huuñ koī laġhzish ho hī jaatī hai
magar ik vasf hai mujh meñ dil-āzārī nahīñ kartā
maiñ dāmān-e-nazar meñ kis liye saarā chaman bhar luuñ
mirā zauq-e-tamāshā bār-bardārī nahīñ kartā
mukāfāt-e-amal ḳhud rāsta tajvīz kartī hai
ḳhudā qaumoñ pe apnā faisla jaarī nahīñ kartā
mire bachche tujhe itnā tavakkul raas aa jaa.e
ki sar par imtihāñ hai aur tayyārī nahīñ kartā
maiñ 'āsī' husn kī ā.īna-dārī ḳhuub kartā huuñ
magar maiñ husn kī ā.īna-bardārī nahīñ kartā
Top Urdushayar.com