Sabir Adeeb

kya pata kya tha udhar aur kya na tha

Sabir Adeeb

Hamirpur, Uttar pradesh, India

1939
kyā pata kyā thā udhar aur kyā na thā
qad mirā dīvār se ūñchā na thā
zehn murda jism be-his be-libās
maiñ ne vo dekhā hai jo dekhā na thā
bhāgtā phirtā huuñ apne-āp se
aisā bhī hogā kabhī sochā na thā
malgaje bigḌe se chehre har taraf
zindagī pahle tujhe dekhā na thā
mas.ale kuchh likh gayā dīvār par
ek dīvāna jo dīvāna na thā
us kī lākhoñ meñ yahī pahchān thī
qabr par us kī koī katba na thā
jis ne jo māñgā use vo de diyā
ai ḳhudā kyā maiñ tirā banda na thā
Top Urdushayar.com