Sabir Adeeb

kaisi mani ki qaba rishton ko pahnai gai

Sabir Adeeb

Hamirpur, Uttar pradesh, India

1939
kaisī ma.anī kī qabā rishtoñ ko pahnā.ī ga.ī
ek hī lamhe meñ barsoñ kī shanāsā.ī ga.ī
har dar-o-dīvār par bachpan javānī naqsh the
kab mire ghar se mire maazī kī dārā.ī ga.ī
is qadar ūñchī huī dīvār-e-nafrat har taraf
aaj har insāñ se insāñ kī pazīrā.ī ga.ī
har nayā din dhuup kī kirnoñ se tap kar aa.e hai
jism se ThanDak ga.ī ā.ankhoñ se bīnā.ī ga.ī
ab kahāñ vo mastiyāñ sargoshiyāñ gul-reziyāñ
dāman-e-sahrā se jo aatī thī purvā.ī ga.ī
vaqt kī sauġhāt hai na ham haiñ ham na tum ho tum
zehn se socheñ ga.iiñ hoñToñ se sachchā.ī ga.ī
aaj phir hai hukmarānī tīrgī kī har taraf
raushnī ik pal ko 'sābir' aa.ī aur aa.ī ga.ī
Top Urdushayar.com