kyūñki ham duniyā meñ aa.e kuchh sabab khultā nahīñ
ik sabab kyā bhed vaañ kā sab kā sab khultā nahīñ
pūchhtā hai haal bhī gar vo to maare sharm ke
ġhuncha-e-tasvīr ke mānind lab khultā nahīñ
shāhid-e-maqsūd tak pahuñcheñge kyūñkar dekhiye
band hai bāb-e-tamannā hai ġhazab khultā nahīñ
band hai jis ḳhāna-e-zindāñ meñ dīvāna terā
us kā darvāza parī-rū roz o shab khultā nahīñ
dil hai ye ġhuncha nahīñ hai is kā uqda ai sabā
kholne kā jab talak aave na Dhab khultā nahīñ
ishq ne jin ko kiyā ḳhātir-girafta un kā dil
laakh hove garche sāmān-e-tarab khultā nahīñ
kis tarah mālūm hove us ke dil kā mudda.ā
mujh se bātoñ meñ 'zafar' vo ġhuncha-lab khultā nahīñ