sab rañg meñ us gul kī mire shaan hai maujūd
ġhāfil tū zarā dekh vo har aan hai maujūd
har taar kā dāman ke mire kar ke tabarruk
sar-basta har ik ḳhār-e-bayābān hai maujūd
uryāni-e-tan hai ye ba-az-ḳhil.at-e-shāhī
ham ko ye tire ishq meñ sāmān hai maujūd
kis tarah lagāve koī dāmāñ ko tire haath
hone ko tū ab dast-o-garebān hai maujūd
letā hī rahā raat tire ruḳh kī balā.eñ
tū pūchh le ye zulf-e-pareshān hai maujūd
tum chashm-e-haqīqat se agar aap ko dekho
ā.īna-e-haq meñ dil-e-insān hai maujūd
kahtā hai 'zafar' haiñ ye suḳhan aage sabhoñ ke
jo koī yahāñ sāhib-e-irfān hai maujūd