nibāh baat kā us hīla-gar se kuchh na huā
idhar se kyā na huā par udhar se kuchh na huā
javāb-e-sāf to laatā agar na laatā ḳhat
likhā nasīb kā jo nāma-bar se kuchh na huā
hamesha fitne hī barpā kiye mire sar par
huā ye aur to us fitna-gar se kuchh na huā
balā se girya-e-shab tū hī kuchh asar kartā
agarche ishq meñ āh-e-sahar se kuchh na huā
jalā jalā ke kiyā sham.a saañ tamām mujhe
bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na huā
rahīñ adū se vahī garm-joshiyāñ us kī
is āh-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na huā
uThāyā ishq meñ kyā kyā na dard-e-sar maiñ ne
husūl par mujhe us dard-e-sar se kuchh na huā
shab-e-visāl meñ bhī merī jaan ko ārām
azīzo dard-e-judā.ī ke Dar se kuchh na huā
na dūñgā dil use maiñ ye hamesha kahtā thā
vo aaj le hī gayā aur 'zafar' se kuchh na huā