Bahadur Shah Zafar

ruKH jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tab aa jaega

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
ruḳh jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tāb aa jā.egā
phir ke burj-e-sumbule meñ āftāb aa jā.egā
terā ehsāñ hogā qāsid gar shitāb aa jā.egā
sabr mujh ko dekh kar ḳhat kā javāb aa jā.egā
ho na betāb itnā gar us kā itaab aa jā.egā
tū ġhazab meñ ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb aa jā.egā
is qadar ronā nahīñ behtar bas ab ashkoñ ko rok
varna tūfāñ dekh ai chashm-e-pur-āb aa jā.egā
pesh hovegā agar tere gunāhoñ kā hisāb
tañg zālim arsa-e-roz-e-hisāb aa jā.egā
dekh kar dast-e-sitam meñ terī teġh-e-ābdār
mere har zaḳhm-e-jigar ke muñh meñ aab aa jā.egā
apnī chashm-e-mast kī gardish na ai saaqī dikhā
dekh chakkar meñ abhī jām-e-sharāb aa jā.egā
ḳhuub hogā haañ jo siine se nikal jā.egā tū
chain mujh ko ai dil-e-pur-iztirāb aa jā.egā
ai 'zafar' uTh jā.egā jab parda-e-sharm-o-hijāb
sāmne vo yaar mere be-hijāb aa jā.egā
Top Urdushayar.com