ḳhvāh kar insāf zālim ḳhvāh kar bedād tū
par jo fariyādī haiñ un kī sun to le fariyād tū
dam-ba-dam bharte haiñ ham terī havā-ḳhvāhī kā dam
kar na bad-ḳhūoñ ke kahne se hameñ barbād tū
kyā gunah kyā jurm kyā taqsīr merī kyā ḳhatā
ban gayā jo is tarah haq meñ mire jallād tū
qaid se terī kahāñ jā.eñge ham be-bāl-o-par
kyuuñ qafas meñ tañg kartā hai hameñ sayyād tū
dil ko dil se raah hai to jis tarah se ham tujhe
yaad karte haiñ kare yuuñ hī hameñ bhī yaad tū
dil tirā faulād ho to aap ho ā.īna-vār
saaf yak-bārī sune merī agar rūdād tū
shaad o ḳhurram ek aalam ko kiyā us ne 'zafar'
par sabab kyā hai ki hai ranjīda o nāshād tū