Bahadur Shah Zafar

jigar ke TukDe hue jal ke dil kabab hua

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
jigar ke TukḌe hue jal ke dil kabāb huā
ye ishq jaan ko mere koī azaab huā
kiyā jo qatl mujhe tum ne ḳhuub kaam kiyā
ki maiñ azaab se chhūTā tumheñ savāb huā
kabhī to shefta us ne kahā kabhī shaidā
ġharaz ki roz nayā ik mujhe ḳhitāb huā
piyūñ na rashk se ḳhuuñ kyūñki dam-ba-dam apnā
ki saath ġhair ke vo aaj ham-sharāb huā
tumhāre lab ke lab-e-jām ne liye bose
lab apne kaaTā kiyā maiñ na kāmyāb huā
galī galī tirī ḳhātir phirā ba-chashm-e-pur-āb
lagā ke tujh se dil apnā bahut ḳharāb huā
tirī galī meñ bahā.e phire hai sail-e-sarishk
hamārā kāsa-e-sar kyā huā habāb huā
javāb-e-ḳhat ke na likhne se ye huā mālūm
ki aaj se hameñ ai nāma-bar javāb huā
mañgā.ī thī tirī tasvīr dil kī taskīñ ko
mujhe to dekhte hī aur iztirāb huā
sitam tumhāre bahut aur din hisāb kā ek
mujhe hai soch ye hī kis tarah hisāb huā
'zafar' badal ke radīf aur tū ġhazal vo sunā
ki jis kā tujh se har ik sher intiḳhāb huā
Top Urdushayar.com