paan kī surḳhī nahīñ lab par but-e-ḳhūñ-ḳhvār ke
lag gayā hai ḳhūn-e-āshiq muñh ko is talvār ke
ḳhāl-e-āriz dekh lo halqe meñ zulf-e-yār ke
mār-e-mohra gar na dekhā ho dahan meñ maar ke
anjum-e-tābāñ falak par jāntī hai jis ko ḳhalq
kuchh sharāre haiñ vo merī āh-e-ātish-bār ke
tūba-e-jannat se us ko kaam kyā hai hūr-vash
jo ki haiñ āsūda saa.e meñ tirī dīvār ke
pūchhte ho haal kyā merā qimār-e-ishq meñ
jhaaḌ baiThā haath maiñ naqd-e-dil-o-dīñ haar ke
ye huī tāsīr ishq-e-koh-kan se sañg-e-āb
ashk jaarī ab talak chashmoñ se haiñ kohsār ke
hai vo be-vahdat ki jo samjhe hai kufr o diiñ meñ farq
rakhtī hai tasbīh rishta taar se zunnār ke
vāda-e-dīdār jo Thahrā qayāmat par to yaañ
roz hotī hai qayāmat shauq meñ dīdār ke
hoshiyārī hai yahī kiije 'zafar' is se hazar
dekhiye jis ko nashe meñ bāda-e-pindār ke